DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 412,Hadees No :2070,

 

Hazrat Abdullah Bin Amr(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Allah ke Paas Sab se Behtreen Saathi wo hai,jo Apne Saathiyo ke Saath Bhalayi kare,aur Sabse Behtreen Padosi wo hai,jo Apne Padosiyo ke saath Husn e Sulook kare.
(Vol/2,Hadees No :2070),
Dars : Behtreen Padosi : Pahle Kisi Ghar me kuch Acha Khana(Gosht etc..) bhi Banate to us Salan me Shorbah ziyadah kardiya karte taa ke padosiyo ko bhi usme shamil karle,agar apne Bacho ko Naye kapde laate bhi to apne ghareeb padosiyo ke Bacho ke saamne un kapdo ko pahen ne ki ijazat Nahi di jati taake un ghareeb bacho ka dil Na dukhaye….
●● Padosi ke Ghar me Agar ladki ho to Ladko ko Chath per chadne ki bhi ijazat Nahi hoti thi,aur unko apni Bahno ki tarah Nigahbani karne ki taleem di jaati thi aur wo Paak baaz,Nek Seerat Nawjawan us tarah hi kiya karte…
Padosi ke ghar me thodi bhi mushkil ajati to khud ke ghar me mushkil aane ke barabar samjha jata…lekin
Afsos..Aaj kal ke Halaat ka pata to aapko hi Behter Malum hai,jo islami taleemat ke khilaf hai,yahi wajah hai,ke Hamare Gharo se Barkat khatam hochuki hai !!
■■ Ache Dost : Ache Dost ka Matlab ye Nahi ke bus Raato me Jaagte rahe,Bike Riding me saath rahe,Logo pe Mazaq karke Doosro ko Hansate rahe.etc..
Acha Dost wahi hai,jo Doosre Dost ka Dunya wa Deen ki Bhalayi wale Kaamo me Saath de,warna wo Dosti hi Nahi…
jo Aajkal media me dikhate hain.
Allah hame Acha Padosi wa Acha Saathi banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic wrb site..anwaarulislam,com.

You might also like