DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 428,Hadees No :2087,

 

Hazrat Asmaa Binte Abu Bakr(raziyallahuanha)se rivayat hai,Unhone
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) Se Arz ki ke: Abdullah Bin Zubair Jo(Maal) Mujhe Dete hain,kiya us Maal se Mai Madad karsakti hoon ? To Aapne farmaya : Haan,Us Maal se Madad karsakti ho,Apne Maal ko Madad karne se Mat Roko warna Tumse Maal Rok liya jayega.
(Vol/2,H,No :2087),
Dars : Maal me Barkat Ka ek Ahem Noskhah hi Maal se Doosro ki Madad karna hai,
●● Ghareeb wa Mohtajo ki Apne Maal se Madad karna hai,Unki Taleem aur Ladkiyo ki Shadiyo me Maal se Madad kare to Allah Madad karne walo ki Awlaad ki Taleem wa Shadiyo me Ghaibi Madad farmayega,
■■ Qaum ke Har us kaam me jis se qaum ki Madad ho,Jiase Masjido me Imam wa Moazzineen wa Islami Madraso ki Maal se madad karna hai,taake Mustaqbil(Future) me apni Awlaad ko Deeni Taleem sikhane wale Baaqi rahe aur Hamari Namazo wa Janazo ki Imamat bhi karsake…etc…
☆☆ Jo Maal Rakh kar Doosro ki Zaroorat pe Madad Na kare to Allah uske Maal se Barkat ko Khatam kardega,aur usko Azmayish me daal dega..
Allah hame Maal wa jaan se Doosro ki Madad karne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like