DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 459,Hadees No :2138,

Hazrat Huzaifah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Aye Momino Tum Badlah Lene wale Na bano ke Agar koi Ahsan kiye to tum bhi Ahsan karo aur koi Zulm kare to tum bhi Zulm karo Balke Aysa karo ke Agar koi Ahsan kiye to bhi Ahsan karo aur agar Koi Burayi kare to uske saath Zulm Na karo.
(Vol/2,Hadees No :2138),
Dars : Deen e islam hamesha Bhalayi aur Doosro ke saath Ahsan karne ka hukm deta hai,ke koi Ahsan kare ya Na kare lekin musalman ko doosro per Hamasha Ahsan karne ki taleem deta hai,
Aur Ahsan karne wale ke saath Burayi karne k to sakhti se Mana kiya gaya hai,aur Ahaan karne wale ko Apna Ahsan Jatlane(Logo ke saamne kahna) se bhi Mana kiya gaya hai,
Zulm ka Badlah Agar Zulm hi de to phir Ek Haiwan aur Insaan me Farq hi Baaqi Nahi rah jata hai,aur Un Insaano me se phir Musalman wo to Zulm ka Badlah bhi Ahsan wa Bhalayi hi deta hai,aur Us Zulm ka Badlah Allah per Chod de wahi Hakim wa Malik Allah hai,
Yahi islami Taleemat ki Khoobi hai,ke Ghair Muslim Aaj bhi Is Islam Dushman taqato se ladte huve Islam me Dakhil horahe hai,aur insha Allah Qiyamat rak hote rahenge..
Allah hame Ahsan karne aur Zulm se Bachne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like