DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 470,Hadees No :2154,

 

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam)
ne farmaya : Jo Shaks kisi Boodhe Aadmi(Badi Umr wale) ki Uski Umr(age) ka lehaza karte huve Tazeem kare to Allah uski Buzrugi me Doosro ko Madad keliye Muqarrar kardega.
(Vol/2,Hadees No :2154),
Dars : K Doosr maqam per aya hai,ke Jo Bado ki izzat Nahi karta to hum me se Nahi,
Aur mukhtalif maqamaat per Bado Buzrugo ki Tazeem wa ehteram karne ki taleem digayi hai,kyu ke Bado ki tazeem karna ye islami taleemat ki khaas khoobiyo me se hai,
●● Jo Buzrug hote hain,wo Androoni taur per kamzor hojate hain,unhe Har Lamha Madad ki zaroorat hoti hai,lehaza unki apne Zuban ki Narmi aur Kaam ki Chusti ke zariyeh madad karni chahiye,jiski Barkat jawani me izzat aur Budhape me Nusrst(madad) ki shakal me Naseeb hoti hai.
Allah ham sabko Bado ka Adab karne wala banaye…Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like