DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 478,Hadees No :2162,

 

Hazrat Abudullah ibne Umer(razi yallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Zulm Qiyamat ke Andhero me se Ek Andhera hai.
(Vol/2,Hadees No :2162),
Dars : Koi Cheez ya Kaam ko Uski Munsib Maqam ke Alawah per Rakhe ya Kare to wo Zulm kahlata hai,
Farayiz aur Wajibaat ko Apne Waqt pe ada na kare ya umer me Qaza bhu Na kare to Us se bandeh ka Khud per Zulm karna kahlata hai,jiska Nateejah Qiyamat me Zahir hoga..!!
●● Aaj Har Mulk me Kisi na kisi Tabqeh ke Huqooq Na dete huve Hukoomate Zalim sabit hojati hai,Khaaskar Jab Musalmano ki Baat Aajaye to Har Mulk hi is Daud me Aage hai,aur wo Naye Naye Bahane Talash karke Musalmano per Zulm karti hai,lekin Wo Bhool gaye hain,ke ye Mukhtasar Waqt ki Dunya to Kafiro keliye Jannat aur Momino keliye Qaidkhanah hai,aur unko Marne ke Baad Har Manzil me Andhera Hi Andhera milne wala hai,aur insha Allah Musalmano ko Dayimi Jannat milne wali hai,jo ke Allah ka Wadah hai,aur Allah ka Wadah hokar hi rahta hai…
■■ Ab is Dunya ke Mushkil Halaat me Islami Taleemat ko Apnate huve Saare Musalman Muttahid hojaye aur Taleem wa fanni Salahiyato ko apna Hathyar bana le phir sabr kare insha Alla Kamiyabi Wa Madad Dono hamare saath honge…
Allah hame Zulm karne aur Zalimo ke zulm se mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like