DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 479,Hadees No :2163,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam) ne Kabhi bhi Khane me Ayb Nahi lagaye,Jab Aapko Khana Pasand aye to Aap khalete aur Jo Aapki Tabiyat ke Na Muwafaq ho to Usko Chod dete.
(Vol/2,Hadees No :2163),
Dars :Ye Husn e Akhlaaq hai,Hamare Nabi e Paak sallallahualihiwasallam ke aur Yahi Har Ummati ki Kamaiyab zindagi keliye Raaz e Hayat bhi hai,ke Jo Cheez Pasand ho usko khalo ya Apne liye lelo Aur jo Na Muwafaq ho usko Chod do,kyu ke Hosakta hai,usko koi Doosra Bohat pasand karta ho,Bus us cheez me Ayb wa Khamiya Na nikale us se Nemat ki Na Shukri hogi,phir uski Na Shukri ki Wajah se Allah doosri Nemato se bhi Mahroom kardega…Allahu Akber Kabeera….
●● Aaj kal Cheez Achi bhi Ho to usme Ayb nikalna ek Fasion aur Trend hogaya hai,ke Alhamdulillah..Jab Hamare Muslim Moashreh ke Nikah ki Taqreeb me jaye to Zaroorat se bhi ziyadah Chicken ke Lazeez Dishes aur 2 se ziyadah Sweets Banaye jate hai,lekin phir bhi Baaz log Us Rizq me Ayb wa Khami Nikalte rahte hai…!!!
Jiski Wajah se Allah Ayb Lagane walo ke Rizq se Barkat ko hi Cheen leta hai…
Allah hame Hamesha Shukr Guzar Bandah banaye…Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like