DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 480,Hadees No :2164,

 

Hazrat Adullah ibne Umer(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam) Member per Tashreef legaye phir Buland Awaz se farmaye : Aye Musalmano ki Jamat..Musalmano ko Takleef Na do,aur Na hi Unko Aybdaar karo aur Na hi unki khamiya talash karo Kyu ke Jo Musalmano ke Aybo ko Talash karta hai,to Allah unke hi Aybo ko Logo ke saamne zahir kardeta hai,phir unko Saari Dunya me Ruswa kardeta hai,agarche ke wo kitne hi Mahfooz maqam per chupa rahe.
(Vol/2,Hadees No :2164),
Dars :yani Jo Musalmano ke Aybo ki pardah poshi karega to Allah bhi uske aybo ko chupa dega aur uski ghalatiyo ko maaf kardega,aur jo Musalmano ko takleef Na dega to Allah bhi usko takleefo ws Mushkilo se Najat dega..
●● Musalmano ka Muhafiz wa Rahnuma Na koi Muslim leader hai,aur Na hi koi ghair Muslim leader Balke Musalmano ka Haqeeqi Muhafiz Wa Rahnuma to Allah Rabbul izzat hi hai,jiski Hifazat Be gharz hoti hai,
Lehaza Musalmano ko Ghair ke Darane aur pareshan karne se Na darna hai,aur Na hi pareshan hona hai,jaisa ke Aaj kal Burma,Mayanmar,Rohingya,Syrya,falasteen etc…Mulko me Musalmano ko darane ki koshish karte rahte hai,to is moamleh ko Hame Allah ke Hawale karke Deen per Aur bhi Mazbooti se qayim wa Sabit Qadam rahna hai,phir Allah hi unko Sahi wa Dardnaak Badlah dega..insha Allah,
■■ Aap dekhiye ke Jitne bhi islami Dushman mulk hai,Jo Musalmano ko Maashi parshani me mubtala karna chahte hai,lekin ghaibi Madad se un Mulki me Maashi Pareshaniya horahi hain,aur wo Musalmano Mard wa Aurato Be Izzat karna chah rahe hai,lekin sab se ziyadah unke hi mulko me unki Maa wa Bahne Be Pardah hokar aur Azadi ke Naam per Haram Bacho ki Maa Ban rahi hain,aur sab se badi saza unko ye mil rahi hai,ke Unko iska Ehsaas bhi Nahi hai,lehaza Aye Musalmano Allah ki Zaat per Bharosah rakhe aur Deeni Taleem wa Islami Akhlaaq ko apnaye to insha Allah Madad wa Kamiyabi hamari hi hogi.
Allah hame Kamil Yaqeen Naseeb kare..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like