DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TAQDEER, DAY : 518,Hadees No :2289,

 

Hazrat Salman (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Taqdeer ko Dua ke siva koi Cheez Badal Nahi sakti hai,aur Umer me Neki ke Alawah koi Cheez izafah nahi karsakti hai.
(Vol/2,Hadees No :2289),
Dars : Quran e Kareem me Aya hai,ke Taqdeer kabhi bhi Badli Nahi jati hai,
To Phir Hadees me Dua ka taqdeer ko Badalna kisa …?
To uska Jawab ye hai,ke Ye Baat Zahn me rakhe ke Taqdeer ki 2 Qisme hoti hai
1) Taqdeer e Mubram,
2) Taqdeer e Mubarrar,
●● Taqdeer e Mubram wo Taqdeer hai,jo Kabhi bhi Badli Nahi jati hai,ke wo Kab Marne wala hai,etc….
●● Taqdeer e Mubarrar wo Taqdeer hai,jisko Allah apne Fazl se Badal deta hai,jaise Rizq me Barkat…etc…
To Hadees e Paak me Doosri Wali taqdeer ka zikr hai,jo Dua se Badal bhi sakti hai,lehaza Dua Doosro keliye Aur khud keliye Hamesha karte rahe,jo 2 Jahan me Rabb ke Fazl wo Karam ka sabab Banti hai,
■■ Neki hi wo Nemat hai,jo Insan ko Allah ka Mahboob Bandah Bana deti hai,jab Bandah Allah ka Mahboob hojata hai,to uski Har Cheez me Barkat Bhagte huve Aajati hai…
Allahu Akbar Kabeera…..
Lehaza Choti ho ke Badi Neki to Neki hoti hai,usko Bus Karne ki Niyyat karleTaufeeq bhi Zaroor mil jayegi..Insha Allah.
Allah Hame Apne Mahboob Bando me Shamil farmaye..Ameen.

Plz…Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like