DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TAQDEER, DAY : 519,Hadees No :2293,

 

Hazrat Ibne Mas’ood(raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Koi Beemari Muda’addi(Communicable) Nahi hoti hai,to Ek Shaks ne Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) to Phir Hum Ek Kharsh Zadah Wuntni(Camel) ko Chod de to wo Doosri Wuntni(Camel) ko bhi Kharish wali Bana deti hai ? Aapne Farmaya : To Phir Pahli Wali Wuntni ko Kisne Khariah Zadah kardiya ?!! Lehaza Koi Beemari Muta’addi Nahi hoti hai,aur Safar(Month of Safar) ki koi Haqeeqat Nahi hai,Kyu ke Allah hi ne Har Cheez ko Paida farmaya hai,aur Har Makhlooq ki Zindagi,Rizq wa Museebate Allahi ne Muqarrar ki hain.
(Vol/2,Hadees No :2293),
Dars : ilm e Tibb me Umooman Beemariyo ki 2 Qisme Bayan ki jati hain,
1) Communicable Desease(Mutaddai Beemari),
2) Non Communicable Desease(Ghair Mutaddi Beemari)
To Jab Deen e Islam ne Muta’addi Beemari ka inkar kardiya hai ?!
To uski Wazahat ye hai,Beemari ka Ek doosre tak Pahelna Khud Beemari se Nahi hota hai,Balke Wo Allah ke Hukm wa Qudrat se hi hota hai,Beemari Sabab hai,Lekin Musabbib to Allah ki zaat hai,lehaza Beemari Apni khudi se Nahi Badalti aur pahelti hai,Balke usme Asar Allah ka hota hai,is etebar se Naturi Firqeh ka inkar hai,aur Aam logo ke Zahno ki Sahi Tashreeh bhi….
■■ Safar ke Month me Beemariyo wa Museebato ke utarne ka jo Baaz logo me Batil Aqeedah paya jata hai,Deen e islam ne uski Sakhti se Mazammat ki hai,aur us Aqeedeh ko Bati Qarar diya hai,to hame chahiye 13Tezi jaise Batil Aqeedo se khud ko aur Apne Azeezo ko Mahfooz rakhe…Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like