DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 488,Hadees No :2175,

 

Hazrat Uqbah Bin Amir (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mareez ko Khane keliye Zabarsasti Na karo,Kyu ke Unko Allah khilata hai,aur Pilata hai.
(Vol/2,Hadees No :2175),
Dars : Ye Baat Yaad rakhe ke: Bandeh keliye Sehat bhi Nemat hai,aur Maraz bhi Nemat hi hai,wo is tarah ke Jab Bandeh ko Sehat mile aur wo Shukr Baja laye to Usko Allah Shakireen Bando me shamil kardega,phir Shakir Bando ko in’am to Jannat hai,lehaza ye Sehat jannat ke Hasil karne me nemat bangayi,
Aur Maraz Nemat is tarah hai,ke :Jab Bandeh ko Maraz mile yani wo Mareez hojaye phir wo Bandah us Maraz per Sabr kare to Allah usko Sabireen Bando me Shamil kardega,aur Sabr karne walo ko in’am bhi Jannat hi hai,lehaza Jannat ke Husool me ab ye Maraz,Nemat bangayi..
●● Mareez ko Allah ki taraf se Roohani Quvvat wa Ghiza Naseeb hoti hai,aur Zahiri taur per Badan me kamzori bhi ajati hai,jiske sabab usko Ziyadah khane aur peene ki zaroorat Nahi padti hai,
■■ Halat e Marz me Aam Waqt me Khaye jani Wali Ghiza se bhi Ehtiyat karna zaroori hai,warna Uske sabab kayi Doosri Beemariya lahiq hone ke ziyadah Chances hote hai,yahi Baat ki taraf Hadees me isharah kiya gaya hai,jisko Doctors Aaj ke daur me Science ka Naam per kahte hain.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaaruliaslam,com.

You might also like