DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 490,Hadees No :2177,

 

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Kuch Log Qabeelah Urainah ke Madeenah Munawwarah Aye to Kuch Din Baad unko Waha ki Hawa Nahi bhayi jiski wajah se wo beemari me mubtala hogaye jiski ilaj ki Niyyat se Bargah e Risalat sallallahualihiwasallam me aakar arz kiye to
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum log Sadqeh ke Wunto(Camel) ka Doodh(Milk) aur Peshab(Urine) piyo jis se tumhari Beemari door hogi,to unhone Wysa hi kiya to Unko Beemari se Shifa mil gayi.
(Vol/2,Hadees No :2177),
Dars : Is Hadees e paak ki raushni me Ulama e kiram farmate hain,ke Baaz wo Cheeze jinka istemal karna Islam me Jayiz Na ho to Majboori ki Soorat me jis ke Alawah koi Doosri Cheez Na ho aur Mahir Doctor usi me Shifa hone ko kahe to us Cheez ko istemal karne ki ijazat hai,Jitni Zaroorat ho utni hi istemal karsakte hai,zaroorat se ziyadah istemal ki ijazat Nahi..Alhamdulillah ye bhi Deen e islam ke Aafaqi(Universal) aur Us’at ki Alamat hai,
●● Madeeneh ki Hawa Na bhana…?!
Baaqi taveel hadees ye hai,ke ye log Wunt ka Doodh aur Peshab Peene ke Baad Shifa paye to phir unhone Wo Sadqeh ki Wunto ko Chori(Stealing)karke legaye to baad me unko pakad kar Saza bhi dedi gayi,kyu ke Wo Log Munafiq the aur unke Dil Saaf Wa Paak Nahi the….
Yaad Rahe Madeenah Munawwarah ki Khusoosiyat me se ye bhi hai,ke Yaha Jo Aata hai,Barkat ke Husool keliye Badan ke Saath Dil ko bhi Paak karke Aana hoga warna Waha ki Hawa bhi Nahi bhayegi..
Allah hame Sachi Mohabbat wa Aqeedat Naseeb farma…Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like