DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 509,Hadees No :2226,

 

Hazrat Abu Saeed Khudri (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ke Paas ek Shaks Hazir hokar kahne laga ke Mere Bahi ka Pet(Stomuch) kharab huva hai ? To aap Sallallahualihiwasallam ne farmaya : Unko Shahed(Honey) Pilado,to kuch din Baad wo Phir aakr wahi kaha to aapne phir us se Usko Shahed pilane ko kaha,is tarah Jab wo Teesri Baar Hazir huva to aapne farmaya : “Mere Rabb ne Sach kaha aur Tere Bhai ke Pet(Stomuch) ne Jhoot kaha hai,lehaza Jakar usko shahed pilado”
Jab usne Jakar Haqeeqat me Shahed Pilaya to us Shaks ka Bhai Theek hogaya.
(Vol/2,Hadees No :2226),
Dars :Haqeeqat me us Shaks ne Shahed Pilaya hi Nahi tha jiski wajah se uske Bhai ki Pet ki Beemari Door hi nahi horahi thi,lekin usne Shahed pilaya to uska Pet bhi sahi hogaya aur Beemari bhi door hogayi,
Isme hum sab keliye Dars hai,ke Deen e islam me Sirf Musalman hi Nahi balke Saari insaaniyyat ke masaayil ka Hal hai,bus hamko us per Sahi Andaz pe Amal karna hai,aur uski Haqqaniyyat per Kamil Yaqeen bhi rakhna hai,to jab hi ham Har maidan me kamiyab ho payenge..
■■ Shahed(Honey) ke istemal me Be Shumar faideh hain,jisme Motapa ka khatam hona,Charbi(colesterol) ka door hona,etc…bohat se Beemariyo se Shifa Naseeb hoti hai,shart ye hai,ke wo Asli Shahed(Pure Honey) ho warna Kuch faidah Nahi…
Allah hame islami taleemat per kamil yaqeen wa Amal ki taufeeq Naseeb kare.Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like