DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 511,Hadees No :2230,

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mareez Jab Sehat Yaab hojata hai,to uski Misal is tarah hi hai,jaise Asmaan se Girne wale Us Wole(Barf Ka Tukda) ki hoti hai,jo Apne Rang wa Safayi me Paak hota hai.
(Vol/2,Hadees No :2230),
Dars : Insaan ko Jab koi Beemari aati hai,to usme bhi Allah ki Hikmat wa Azmayish hoti hai,Jab Bandah Us Maraz me Sabr kare to Allah usko Sabireen me Shamil karke Jannat ata karta hai,aur jab bandah Beemari se Sehat yab hokar Shukr Baja laye to Allah usko Shakireen Bando me shamil karke Isko bhi Jannati Bana deta hai,kyu ke Sabr karne wala aur Shukr karne wala Dono Jannati hi hote hai,
■■ Bandah Jab Beemari se Sehat pats hai,to Wo Badani kamzoriyo aur Gunaho se bhi Paak hojata hai,bus shart ye hai,ke Beemari ki Halat me Wo Shikwah wa Shikayat Na kare warna Kuch Hasil na hoga,
Yaad rahe ke Bandeh ko Beemari ka Ana Rabb ke Qareeb hone ki Alamat hoti hai,aur Sehat ka Hasil hona Khoob Ibadat me lage rahne ki taraf talqeen hoti hai,
Behreha Sehat aur Maraz dono Allah ki Nemat hoti hai…
Allah hame Har Haal me tera Shukr baja lane wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like