DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 621,Hadees No :2477,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Lazzato Ka Khatam karne wali Cheez Yani “MAUT” ko Kasrat se Yaad kiya karo.
(Vol/2,Hadees No :2477),
Dars : Jab Insaan Maut ko Bhool jata hai,to Wo Ye Samajhne lagta hai,ke uska Sab kuch Dunya hi hai,aur ye Sonchta hai,ke wo Hamesha Dunya me hi rahne wala hai,jiski wajah se wo Dunya ki cheezo ko Hasil karne keliye Her Hadd tak guzar jata hai,jisme wo Halal wa Haram ka farq bhi Nahi karta hai,phir jab dunya ki cheeze Dawlat,Shohrat,Siasat me Mansab etc..mil jata hai,to uske Dil me Ghuroor,Takabbur,Shohrat ki Hirs ,Hasad,Dushmani etc..jaisi Buri Adate ajati hai,phir wo Maut ko wo yaad Na kare to isi Be Chaini ke Aalam me Dunya se chala jayega,
Haan,Agar Insaan Har Haal me Maut ko Yaad karta rahega,to uske Mizaj me Balance hoga aur wo Sahi tareeqeh se zindagi guzarega aur itminaan se is dunya se jayega,
●□ Maut ki yaad Bandeh ko Akhirat ke qareeb karti hai,aur Dunya se Door,Achayi ki dawat deti hai,Burayi se door etc..
Allah hame Hamesha Maut ki yaad me zindagi guzarne wala banaye..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like