DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 671,Hadees No :2541,*

Hazrat Mohammed Bin Seereen (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hamare Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) Kattan ke 2 Kapde Odhe huve the unhone kaha ke Ek Martabah mai Membare Rasool(sallallahualihiwasallam) aur Hujraeh Ayisha(raziyallahuanha) ke darmiyan khada tha,Bhook ki wajah se mujh Chakkar aane lagi jis se mai zameen per gir gaya to Log mujhe Pagal samajh kar Dhakke marte jate jabke Meri wo Halat Pagalpan ki wajah se Nahi thi Balke Bhook ki wajah se thi.
(Vol/2,Hadees No :2541),
Dars : Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) wo sahabi e Rasool hain,jinhone Sab se ziyadah Hadeese jama kiye hain,aur unhi ki zaat se ilme hadees ka ummat ko ziyadah faidah hasil huva hai,aur aap Kattan ke 2 kapde Jo udhe huve the wo Musalmano ki har jagah fateh hasil karne ke baad ka waqt tha ke us zamaneh ke kattan ke jo kapde pahna karta to usko Bohat Maal daar shaks samjha jata tha,to us waqt Alhamdulillah aapke paas Maal maujood tha jiski wajah se wo Izhare Nemat keliye kattan ke kapde istemal farmaye,aur Apni istetaat ke muwafaq Bandah ache kapde pahen sakta hai,uski islam me ijazat bhi hai,
●● Ek Ahem Dars is Hadees me ye bhi hai,ke Aap Khush Haali me bhi apne Bad Haali ke zamaneh ko Yaad rakhe hai,aur yaad bhi kar rahe hai,taake Bandeh ke dil me Takabbur Na paida ho,lehaza Har insaan chahe wo jitna bhi Bada Aadmi kyu na banjaye usko apni Pahli wali Halat ko Nahi bhoolna chahiye kyu ke pahli Halat Takabbur se mahfooz rakh kar Shukr ki dawat deti hai,jis se kahliq aur Makhlooq dono Raazi hote hai.
Allah hame Har haal me tera Shukrguzar bandah banne wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like