DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAYS: 898- HADEES NO:2852

Hazrat Sayyiduna Abu Hurairah Raziallahuanhu se Rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: Yahood Aur Nasara( Christians) 71 YA 72 Firqo(jamato) me But (Divide) gaye,Aur Meri Ummat bhi 73 Friqo me But jayegi.

(Jamiut Tirmizi,Vol 2,Hadees No :2852),

Dars : Allah Insaan ko Aala Sifat ke Saath Paida kiya aur Usko Ashraful Makhluqaat me ke Taaj se Sarfaraz farmaya,usme Bohat si Khoobiya bhi hai,aur uske Aamal ke Sabab khamiya bhi,to uski Khususiyat me se Ek ye ke Insaan ke Dil Fitrati taur per mohabbat hoti hai,aur wo uske Sabab logo me ittehad wa ittefaq ko Chahta hai aur wo Logo se Mila huva rahta hai,aur ek Doosri khususiyat ye ke wo Na Maunasib Mahol se Nafrat karta hai,aur us Mahol se Door rahne aur us se ekhtilaf karna shuru karta hai,jis ki wajah se wo Logo se door rahne lagta hai,to isi wajah se Aap sallallahualihiwasallam ne ummat ke 73 firqo me Butne ke Muta’allaq aagah kardiya hai,aur ye Hone wala hai,aur wo hokar rahega,to Ayse Soorat me kisi Jamat se wabastah rahe to Baghir kisi shak wa shubha ke : Saari Jamato me Sab se Haqq wa Sachi Jamat “AHLE SUNNAT WAL JAMMAT” hai,Jo is per rahega wo Raahe Haq wa Raahe Najat per hai,aur Jo iske alawah ki Jamatnper ho to wo BAATIL WA GUMRAH JAMAATE hain.

Allah Hame Ahle Sunnat Wal Jammat per Sabit wa Qayim rahne ki taufeeq ata kare..Ameen YA Rabbi..

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATHULLAH QADRI

(FOUNDER OF MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR,T.S).

You might also like