*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chapter : TAHARAT ,Day : 42


,
 
Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) Masjid me tashreef farma the,to ek shaks dakhil huva awr Dua karne laga “AYE ALLAH MUJH PER AWR MOHAMMED(sallallahualihwasallam) per Raham farma,hamare alawah kisi per rahma na farma,
jab aapne suna to farmaya : To ne to Allah ki Rahmat ki wus at ko rok liya !!
phir us ne jate jate masjib ke ek kone me Peshab(urine) kardiya to Sahaba e kiram(raziyallahuanhum ajmayeen) daude to aapne farmaya suko chod do,awr Masjid ke us Hisseh me Paani baha do,awr kaha
“TUM AASANI PAIDA KARNE WALE HO,DUSHWARI PAIDA KARNE WALE NAHI “
(Vol/1,H,No : 147),
 
Dars : is hadees e paak me kayi dars hai,kuch hissoh pe raushin dalte huve chalte hai,
 
* Allah ki rahmat ko khaas karna sahi nahi hai,
 
* Dua me apno ke saath doosro musalmano ko bhi shamil karlena hai,kyu ke hadees me aya hai,ke apni dua jald qubool hona hoto,uskeliye zaroori hai,ke pahle apne bhai keliye dua kare,,
 
* Jis zameen per peshab(urine) hoto usko paani se dhole to wo paak hojati hai,ye us zameen ka hukm hai,jaha patther ho ya sakht zameen ho ,
awr wo JAHA Narm zameen ho,awr peshab asani se zameen me jazb hoto us ki paaki hukm ye hai,peshab ka waha sookhna hi paaki ka hukm hai,
 
* Choti choti Baato per Jazbaati hojana ye ” UMMAT E MOHAMMADIA ” ka shiar wa adat nahi hai,
 
plz,,Share it to All,For islamic Service,
You might also like