EISAL E SAWAB KA TARIQAH ?

Sawal : salmuailykum hamara sawal jab koi kalma ya arbi padh kar bashqna hai marhoom k naam .to marhoom bande ka naam khe kar bashqna chaye ..ya unka naam le kar unki rooh k naam se bashqna chaye …jawab inyath farmy…ya bhasqne ka amal bataye k kisa unke naam bashqa jaye …shukriya
(seemafarha)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Eisal e sawab(Jo bhi padhe ho,Quran Shareef,Durood e paak ho ya Kalimah ya koi zikr wa surah etc..) pahonchane ka munasib tariqah ye hai,ke YE MISAL KE TAUR PER HAI..

*AYE ALLAH MAIN E 1 QURAN E PAAK PADHI HAI,ISKA SAWAB TAJDAR E AMBIYA MOHAMMED E MUSTAFA(sallallahualihiwasallam) ki Bargah me pesh karta hoon,aur aapke sadqeh Tamam Rasoolo,Tamama Azwaj e Mutahharat,Panjatan e paak,tamam Ahle Bait e kiram,Tamam Sahaba e Kiram,Ualama e Izam wa Sufiya e kiram aur Tamam Salheen per Iska sawab pahoncha ta hoon,aur Aap tamam ke sadqeh Marhoom Mohammed Abdullah Saheb ko iska sawab pahoncha ta hoon,iski Barkat se Us Marhoom ki Maghfirat farma,Raham Ka Karam ka Moamlah farma aur Jannatul Firdaous me jagah ata farma……*

Ab apne hisab se jo dua mangna ho maang sakte hai,
Is tarah Eisal e sawab kare to Sahi rahega agar iske alwaha bhi koi Buzrug koi aur tareeqah bataye to aap us per bhi Amal karsakte hai,Bus hamne Misal ke taur per ek tareeqah bataye hai.
Note : Baaz Log Eisal e Sawab pe bohat Bahes karte hai,jo sahi nahi hai,kyu ke eisal e sawab Sahi Bukhari se bh sabit hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamc web site..anwaarulislam,com.

You might also like