DARSE JAMIUT TIRMIZI

*CHAPTER : JANNAT KE SIFAAT,* 
 *DAY : 808,Hadees No :2730,*

Hazrat Abu Saeed(raziyallahuanhu) 
se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jannat Sab se Pahle Jo Zumrah(jamat) jayega unke Chahreh Chavdhvee(14th Night of Moon) Raat ke Chand ki Tarah Roushan honge, Unke Baad Jaane walo ke Chahreh Aasman me Roushan Sitaro ki Tarah honge aur unki wahah 2 Biviya(Hoor) hongi,(Wo Aysi Noor wali hongi ke )jinke pindli ka Hissah 70 Kapddo ke Peeche se bhi Saaf Nazar ayega. 
(Vol/2,Hadees No:2730),
Dars : Jo Bandah Dunya me Apne Jisme ke Aaza ko Allah ki ibadat me lagakar thakayega aur Jismani Aaza Dunya me Zahir me kamzor Nazar ayenge lekin Allah us ibadat ki Barkat se Dunya me bhi unko Sehat wa Barkat se Nawazega aur Akhirat me bhi Nooraniyat wa Jannat se farfaraz farmayega..
●● 2 Biviya Ka adad kasrat keliye hai,Us se bhi Ziyadah Nemate usko Ata ki jayengi, 
Aur Pindli ka Hissah yani Takhno se Uper ka Hissah hota hai,us se unki Nooraniyat wa Khoobsurti batana maqsood hai.
Allah hame Pahle Zumreh Walo me shamil farma..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All for more visit our islamic website..
www.anwaarulislam,com.

You might also like