GHAUS E PAAK KA JHANDA ?

Sawal :ASSALAMUALIKUM MUFTI SAB. GYARVI KI NISBAT SE GAUSE PAAK KA JHANDA GHAR PE KOYI BI LAGA SAKTE YA ISK LIYE IJAZAT KI ZARURI HI KYA. AUR JHANDE KO LAGANE KA KYA TARIQA HI MADAD. FATEHA K BAAD JHANDA LAGANA KYA ?

(Ek islami bhai,Mbnr),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Gyarvhi Yani Wo Mauqah Jisme Ghareebo aur Azeezo ko Khana khilane ka Ehtemam kiya jata hai,to ayse Mauqeh per Quran Khwani(Fateha) ke baad Hara Jhanda(Green Flag) lagana jiski Nisbat zahiri Taur per Ghaus e Paak ki taraf hoti hai,Haqeeqat me Wo Islami Shiaar me se hai,Aur wo Zaat jiski Taraf Nisbat horahi hai,wo to Allah ke Wali hai,aur “SARKARE AWLIYA E KRAM hain,kyu ke Jab kabhi Hara Jhanda(Green Flag) ki Baat aati hai,to sabka Zahen Islam ya Musalman ki Taraf hi jata hai,lehaza Ayse Mauqeh per Jhanda Lagane ki Ijazat hai,ye Jhanda koi Bhi laga sakta hai,ye *MUSTAHAB* hai,Wajib Nahi hai,Agar koi Na lagaye to wo Gunahgar bhi Nahi hai,
(Al Quran,Surah :Hajj :22)
●● jhanda lagane ka koi Khaas Tareeqah Nahi hai,Jaisa ke Aaj log Bazaro me Nachte aur Kuch Bajate huve aate hain,iska kahi se suboot Nahi hai,aur is tareeqeh ka Khaskar Ahle Sunnat Wal Jamaat se koi Ta’alluq hi Nahi hai,
■■ Jhanda Sadah(Normal) hona chahiye isper koi cheez likhi huvi bhi Nahi honi chahiye kyu ke Baad me kahi uski Be Hurmati Na hone paye,
Allah hame Sahi Samajhne ki taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..share it to All,For more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like