DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : QURBANI, DAY : 301,

Hazrat Ali Bin Abu Talib(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne jab Hazrat Hassan(raziyallahuanhu) ka Aqeeqah farmaya to kaha :Aye Fatimah(raziyallahuanha) Inke Sar ke Baal Katwavo,aur un Baalo ke wazn ke Barabar Chandi(silver) Sadqah kardo.
(Vol/1,H,No :1602),
Dars : Aqeeqeh ke Baad Chandi,Baalo ke wazn ke Barabar sadqah dena Sunnat se Sabit hai,Ya Uske Badleh Paise bhi sadqah karsakte hain, aysa karne se Bacho per Aane Wali Museebate door hojati hain,
●● Haq Baat yahi hai,ke Naw Mawlood Baccho ke Baal Aqeeqeh ke Baad Nikalna hai,
Aaj Baaz log Naw Mawlood Baccho ke Baal Aqeeqeh ke Mauqeh ke Alawah kisi Maqam per Jake Nikalne ki Mannat maangte hai,jabke Usi Mannat me kayi din aur Mahineh Nikal jate hai,jis se ke Bacho ko badi takleef hoti hai,aur aysi Mannato ka suboot bhi Kahi se Nahi milta hai,Jabke Yahi Haq bhi hai,aur Sach Bhi…
Aap Ghareebo ko khana khilane ki Mannat(Nazar) maangle to ye Mustahab hai,lekin Bacho ke baal ke mundwane ki Mannat Hadees se Sabit Nahi hai,aur ye wajib bhi Nahi hai,aur Na hi Mustahab…..Kyu ke Baaz log isko Wajib Samajh baithe hain,(Mazirat ke saath..),
■■ Agar koi Aqeeqeh me ladke ki janib se 2 Bakre ya 2 Bakriya Nahi Zubah karsakta hai,to 1 Bakra ya Bakri se bhi Aqeeqah hojata hai,kyu ke yaha Qudrat Nahi hai,

Plz…Share it to All,For more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like