DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : QURBANI, DAY : 300,

Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) se Aqeeqeh ke bare me sawal kiya gaya to aapne farmaya : Ladke(male) ki Janib se Aqeeqeh me 2 Bakriya aur Ladki(female) ki janib se 1 Bakri Kaafi hoti hai.
(Vol/1,H,No :1595),
Dars : Bacha ya Bachi(He/she) ki wiladat ke 7 we din Aqeeqah yani Ladke ki janib se 2 Bakre ya 2 Bakriya aur ladki ki janib se 1 Bakra ya 1 Bakri Zubah karke uske Sar ke Baal mondna(Halaq) Aqeeqah kahlata hai,
Phir Un baalo(Hairs of Head) ke wazn ke barabar Chandi(silver) ko Ghareebo me Sadqah dena Bhi Mustahab hai,Ya Nahi to uske Barabar Paise(Maal) bhi sadqah karsakte hai,
■■ Aqeeqah ke Gosht ke 3 Hisseh karna hai,
1) Ghareebo ka Hissah,
2) Rishtehdaaro ka Hussah,
3) Apne Gharwalo ka Hissah,
♢♢ 7 we din agar Aqeeqah na karsake to 14 we din karna hai,agar jab bhi na hosake to zindagi me kabhi bhi karsakte hain,
●● Baaz log Naniyal walo ko Us janwar ke Haddi ko Nahi khane ko Kahte hain,
Aysa kuch bhi Nahi hai,Naniyal wale bhi Us janwar ka gosht aur haddi(Bones) sab khasakte hain,
☆☆ Aqeeqeh ke Mazeed masaayil aur Dua hamare web site :anwaaruluslam,com per tafseel se maujood hain,Aap log waha se bhi istefadah hasil karsakte hain.

Plz..Share it to All,

You might also like