HAJJ AUR MAA KE DOODH KI BAKHSHISH ? !

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,

Ager Maa hajj pe jarahe hain to beta ku doodh bakshish k liye kuch dena padta hai kya kya bat sahi hai ?
(Anwar Aziz),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Maa jab Hajj e Baitullah ka safar kar rahi ho to us waqt bete ko Doodh Ki Bakhshish kah kar kuch dene ko log kahte hai,ye kahi se sabit Nahi hai,
Maa wo Pakeezah Hasti hai,jo apne Khoon ke ek ek Khatreh se Bacho ko Parwarish karti hai,aur un hi keliye apni saari Taqat,Rahat,sukoon,Aur Lazzat Sarf kardeti hai,us Piyari Maa ki Qurbaniyo keliye Mere Alfaaz Kafi Nahi honge uski Khidmat aur Rahmat wa Shafaqqat ko Zuban se bayan Nahi kiya jasakta hai,
Saari Zindagi bhi MAA ki khidmat karle to bhi Doodh Ke ek Khatreh ka Haq bhi Ada Nahi karsakte,to ye Doodh ki Bakhshish me kuch dene se Doodh ke Haq ki Maafi kise hosakti hai,
Baaz log Dawlat ki Bunyad per Bazar se Mother Milk Khareed to sakte honge,lekin wo us Doodh me Maa ki Mohabbat ko Nahi Khareed sakte kyu ke us Mohabbat ki is Dunya me koi qeemat laga Nahi sakta,
Haan,Har waqt Maa aur Walid se apni Kotahiyo ki MAAFI maangna Chahiye,
(Mishkat ul Masabeeh,Vol/1),
aur Hajj e Baitullah ke safar se pahle bhi Maafi Maangle to ziyadah behter hai,kyu ke Dunya me Har Cheez mil sakti hai,magar apni khamiyo ki unki zindagi hi me maafi se hi milsakti hai.so Abhi Maafi maangle kahi der Na hojaye..
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like