DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER: SALAH,(JAY NAMAZ) DAY:158

 

Hazrat Anas bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hum ne Rasool e Akram
(sallallahualihuwasallam) ki iqteda me Zohar ki Namaz padhne Ki Sa’adat Hasil ki,to Zohar ke Waqt Garmi ki Shiddat ki Wajah se Hum ne apne Kapdo per Namaz ada kiye.
(Vol/1,H,No:587),
Dars: Hazraat ,Sahaba e Kiram wo Moqaddas hastiya hai,ke Jinhone sirf Miswak ke amal se Dushmano ke Dil me khauff paida kardiya,aur Deen keliye apna Sab kuch Qurban kardiya,Islami Futoohat(jango)keliye Sirf 1 Khajoor me 2 Sahabi Adha adha karke Us khajoor ko Chooste huve Din Guzar diye,aur Paani Na milne ki soorat me kayi din tak piyase rahe Allahu Akber Kabeera to ibteda e islam me Zameen per hi Baghir musalle(jay Namaz) ke hi Namaz ada karlete the,to Sahaba e kiram(rizwanullahialihim Ajmayeen) ne Garmi ki Shiddat se bachne keliye apne Aasteen ke kono per sajdeh kiye to is Amal se Saari Aane wali Ummat ko Jay Namaz ki Istemal ki ijazat mil gayi,aur Ibadat me sahoolat bhi..warna Wo hastiyo ki Namaz me ye Garmi kuch bhi Khalal Nahi paida karsakti thi,per ye Amal ummat keliye tha..
Aur Baaz Shariheen ne kaha us se pahle bhi Jay namaz ka istemal tha.

Plz..Share it to All,For islamic Service

You might also like