INSANIYAT KELIYE TAREEKHI MISAL AUR SABAQ

WO Shaks apni zindagi ko bohat kosta tha, aur apni aap ko Dunya ka Sabse bada Bad Qismat shaks samjha karta tha,aur din raat yahi dhun me raha karta ke jald se jald is dunya se chala jaye,aur in insaani libas me jeene wale darindo se tanha ho jaye,to wo ayse kyu soncha karta tha ?

to uski wajah ye thi ke wo ek Malik ka Ghulam tha,aur us Be Raham malik ne use bohat se kaam sompe the ,ke us  shaks ke kaam :

Subah me Ghar saaf karna aur Paani bharna,

Saara  Din uske Baaghe me kaam karna,

Aur Raat me 1 thaila Gandum(weat) yani Giyaho ko chakki me dal kar usko aata banane ke baad jo waqt mile to us waqt me aaram karlena,

Ab  ye shaks apni tabiyat aur qismat dono se majboor tha, to wo isi tarah apni zindagi guzarta raha,aur din ba din wo kamzor hota ja raha tha,Subah ki thandi hawaye ,din me garmi ki shiddat aur Raat ki sannata usko neend wa aaram ki taraf raghib karte ,lekin wo Becharah Ghulam sirf sahne ke alawah kuch bhi na karsakta tha,,jis se usko insaano se sakht nafrat hochuki thi,jis ki wajah se wo aksar tanha  raha karta tha,

Ek  din raat ke sannate me kisi ne darwaza khat kataya to isne darwazah khol diya to wo shaks uski ijazat se ghar me dakhil hogaya,aur us se aysi guftugu karne laga ke ye ghulam ta ajjub karne laga ke is shaks ki guftugu se ayse andazah lagta hai,ke koi barso se bichtda huva saathi ho,to us ajnabi ne is se kaha tum,aaram karo aaj tumhara aata mai tayyar karunga,to is ko badi khushi huvi aur ye aaram se subah tak sogaya aur wo shaks subah se pahle hi aata tayyar kardiya aur khamooshi se chala gaya,

Is ghulam ne aate ko dekha to bohat khush hogaya ke neend bhi mukammal aur aata bhi mukammal !!!

Phir raat huvi to wo ajnabi phir aagaya ,aur ijazat se aata tayyar karne me lag gaya aur ye aaram karne laga..

Is tarah kayi din guzar gaye ,to is ghulam ne ek din bade narm lahje aur poori kamzori aur majboori ka izhar karte huve kahna laga ke :

Aye ajnabi tujhe malum hai,ke , Mai ek Bad Qismat Ghulam hoon !!

Mera kaam kaarne se mai tumhari kuch bhi madad nahi karsakta ,aur na hi tumhare kuch kaam aasakta hoon,kyu ke mai  to kisi doosre Malik ka ghulam hoon ,

To phir bhi tum raat bhar jaag kar meri itni madad karte hoon !

Kyu ?

Aur tum koun ho ?

To us shaks ne Muskurate huve lahje me jawab diya ke : Dunya me Kisi ki Madad keliye Pahchan,Marifat aur ta’alluq ki zaroorat Nahi Hoti hai,Balke Sirf ” INSAANIYAT  KE EHSAS” Ki zaroorat hi Kaafi hai,bus mai aapki Madad baghir kise matlab wa gharz ke sirf insaaniyat ke naate kar raha hoon,

Ye jumleh sunkar wo ghulam taajjub bhari nigah se kahne laga maherbani karke aapka naam to bata do,uske is andaaz se ayse mahsoos horaha tha ke ab iski qismat khulne ka waqt agaya ho,to wo bechaini se naam ke intezaar me tha,

To aap apne labo ko jumbish dete  huve aur apne sar ko aajizanah andaz me utha kar narm awaaz me  kaha, ke

Mai  ” MOHAMMED” hoon, ” ALLAH KA RASOOL”  hoon

Ye sunte hi  wo shaks buland awaaz me kahne laga …

Aaj se Mai bhi “MOHAMMED KA GHULAM” hoon. Ye kahte  huve us shaks ne

LA ILAHA ILLALLAH MOHAMMADUR RASOOLULLAH kalimha padh liya,aur muslaman hogaya…

Ye hai Rasoolullah sallallahualihiwasallam ke akhlaaq ke aapki har ada per log islam me dakhil hojate,aur aapka har kaam be gharz huva karta,aaj hum har kaam me faidah ka khayal karte hai,had to ye hai,sage bhai bahen se bhi……!!!!!!

to mere piyare islami bhaiyo hame bhi chahiye ke Hamare Piyare Nabi sallallahualihiwasallam ke Akhlaaq e Hasanah ko apnane ki koshish kare to insha Allah wo din door nahi ke Hamari khoyi huvi Bulandi aur Taraqqi ,aur Har maidan me kamiyabi zaroor laut kar aajayegi aur Gharo me mohabbat ka mahol paida hojayega,

Aapko bata doon ke wo shaks jo apni zindagi aur qismat pe kosa karta tha,,?

ek din aysa aya ke wahi shaks kahne laga :

“JAB WO  KABATULLAH  KI CHAT PE CHADH kAR  AZAAN DENE LAGA TO KAHNE LAGA DUNYA ME MUJH SE ZIYADAH KHUSH QISMAT KOI NAHI” ,

UNKO AAJ BHI DUNYA HAZRAT  BILAL HABASHI (raziyallahuanhu) ke naam se jaanti hai.

(Tareekhe islam)

Written by:

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

Plz,,share it to All,and For more Islamic Services Visit our web site :anwaarulislam.com

You might also like