ISLAM ME SURYA NAMASKAR KA HUKM ?

Allah ne saari makhlooq ko paida kiya hai,shajar ho ya Hajar shams ho ke qamar gharz ke saari cheeze Allah ki hi banayi huvi hai,to Allah khaliq aur saari cheeze Makhlooq to Insaan ki maqsad  e Takhleeq hi Allah ki Bandagi hai,Jaisake Quran e kareem me Farmaya : Aye Insaano tum Apne Rab ki Ibadat karo jo Tum ko aur tum se pahle wale logo ko paida kiya take tum Muttaqi Banjavo,

(Al Quran,surah Baqarah,ayat :21)

Aur zameen wa aasman ki cheezo ki takhleeq ke bare me quran me bataya gaya ke.Wo Allah hi hai,jo Raat aur Din,Sooraj aur Chand ko Banaya hai,aur wo aasman me ghoomte rahte hai,

(surah,Ambiya :34),

to jab Sooraj Ko bhi Allah hi banaya hai,to Sooraj ko Salam karne ki kiya wajah hai,zahir me ye salam hai,jabke Haqeeqat me Ye Ghair Muslimo ki Pooja hai,jo “SOORYA NAMASKAR” ke naam se wo rozanah sooraj nikalne ke baad kiya karte hai,

You might also like