DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : JANAZAH, DAY : 233,

Hazrat Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jo Bandah Kisi Museebat Zadah(jo Mussebat me ho) Shaks ke Gham me Shamil hojaye aur Usko Himmat de ho to Is Shak ko bhi Gham me rahne Wale ke Barabar Allah Sawab Ata karta hai.
(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No : 1094),
Dars : jaisa ke doosri Hadees me aya hai,ke Jo Bandah Museebato me Sabr Karta hai,to Allah usko “Jannat” ata karta hai,aur iske alawah bohat se Fazaayil Museebat zadah shaks ke bare me aaye hai,to is shaks ko Himmat dene wale aur Uski museebato me Dilasa dene wale ko bhi Allah uske barabar Ajar wa Sawab ata karta hai,to hame bhi chahiye ke Gham wa Museebato me rahne walo ka Sahara Banjaye aur hum se jitna hosake unki Madad kare aur unko Himmat dilaye to usme hi hamari kamaiyabi hai,
■■ Afsos Sad Afsos …!! Aaj kal To ye Mahol Aam hota ja raha hai,ke Ek Bhai doosre Bhai,Ek Rishtehdar Doosre Rishtehdar,Ek Dost Doosre Dost,Ek Padosi Doosre Padosi,etc… ki Museebato me Sahara Ban ne ke Bajaye Paraya Horaha hai,Uska Saath dene ke Bajaye Saath Chod raha hai,Had to ye hogayi hai,ke Doosro ki Museebato aur Ghamo se Baaz logo ko Dili Khushi horahi hai,yahi Nateejah hai,ke Hamare Gharo se Ache Akhlaaq Ka Mahol Khatam hota raha hai,aur Barkat ka to Door Door tak Naam wa Nasahan tak bhi Nazar Nahi araha hai,
●● Ek Ka Saath Na dena,Sahara Na Ban na Zahir me Choti Baate Nazar aati hai,magar Deen e Islam me iski Badi Ahammiyyat wa Fazilat hai,Allah Hame doosro ka Maal wa Jaan se saharah ban ne wala banaye,Ameen

You might also like