MAA KI DUA KI TAQAT !!

Hazrat Imam e Bukhari (rahmatullahialih) ki Aankhe Bachpan me Jati rahi,jis se wo kisi cheez ko sahi dekh na pate aur Na hi Behter tareeqeh se taleem hasil kar pate,is baat se unko aur un se ziyadah unki AMMI JAAN ko badi takleef hoti,aur aapki Aankho ki beenayi (raushni) keliye Bohat dua mangti rahti,Har jagah ,Har waqt yahi dua karti rahti,

ek din dua Roti huvi dua maangti rahi thi ke kuch der baad unki Aankh lag gayi aur neend agayi ,kuch der baad wo khaab me dekhi ke,,Hazrat IBRAHIM(Alihissalam) Khaab me tashreef farma hai,aur un se kahrahe hai,ke” BETE KE HAQ ME MAA KI DUA QUBOOL HOGAYI…”

ye sunte hi unki Aankh khul gayi,aur jab subah hovi to kiya dekhti hai,ke raat me khaab me Nabi ki Basharat huvi aur Subah me Bete ko Basarat yani Aankhi ki beenayi Naseeb hovi,

ye Maa ki dua ka asar hai,ke wo Awlaad ki taqdeer ko bhi badal deti hai,

TO Dosto ,,Apni Maa aur Baap ko Ghaneemat janu unki duyen lete rahe,kyu ke pata nahi kab unki dua hamari taqdeer badal de,,,

You might also like