DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : SALAH, DAY :169,

 

Hazrat Abu Umamah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Maine Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ko Hajjat ul Wada ke Mauqeh Per Khutbah me Farmate huve suna hai,ke Aap ne Farmaya : Apne Rab se Daro,Namaz Padho,Rozah Rakho,Apne Maal ki Zakat ada karo,Aur Jo Allah Ne Hukm Diya hai,us Per Amal karo To Jannat me Dakhil hojavoge.
(Vol/1,H,No :619),
Dars : Is Hadees e Paak me Saari kamiyab islami zindagi ke usool bayan kiye gaye hai,jab ke ye baate dikhne me aam dikhti hai,magar is per Amal karne me hi Zindagi Guzar jati hai,aur in hi Umoor se 2 jaha me kamiyabi Naseeb hoti hai,
Ab her koi In Baato me ghaur karle ke kitne Kaam choot rahe hai,kisi ek ko karna Nahi hai,balke ye sab kaam karna hai,
Allah mujhe aur Sab ko Amal ki Taufeeq ata kare..Ameen

You might also like