MARNE WALE KE PAAS QURAN KI TILAWAT KA HUKM

Sawal :Assalamualaikum mufti sahab ap se ak saval hai:-agar umar daraz buzruk ka akhri waqt chal raha hai to kya us k bazu me quran sharif ki tilawat kar sakte hai kya (ahadis ki roshni me) ?
(Quraishi ataur rahman),
Jawab : Walikumassalam wa rahamtullah,,Kisi insaan ke aakhiri lamhaat me us ke baazo Kalimah La ilaha illallah Mohammdaurrasoolullha ” ki talqeen karne ka hukm hadees me aya hai,awr usi hadees ki raoushni me ulama e kiram us shaks e baazu ” SURAH YAASEEN” ki tilawat ki bhi ijazat diye hai,awr surah yaseen to quran me se hi hai,iski ahem wajah ye hai,ke aakhiri lamahaat bade mushkil wa sakht hote hai,lehaza us marne wale ko islami mahol awr mizaj me lane keliye Quran e kareem ki tilawat ek behtreen zariyah hai,
( Hashiya e jamiut tirmizy,vol/1,pg/192),
ye hadees ki hi motabar kitab hai,
plz,,read and share it.

You might also like