NAMAZ E JANAZAH KA MASNOON TARIQAH,DUA,AUR MASAAYIL

Namaz e Janazah padhna Farz e kifayah(Baaz log padhle to kaafi hai) hai,magar Namaz e Janazah ke bohat se fazayil hai,ham sab ko waqt Nikal kar Namaz e Janazah me shareek hona hai,kyu ke Pata nahi Allah ko hamara kounsa Amal pasand ajaye aur hamari Maghfirat karde,

Namaz e Janazah ka Tariqah : Imam Mayyit ke Seene ke Muqabil khada hojaye,chahe Mayyit Mard(male) ho ya Aurat(female),aur Moqtadi imam ke peeche jaisa ke Doosri Namazo me Khade hote hai,Muqtadiyo ke saffe(lines) 3,5 ,7 bhi karsakte hai,

Niyyat :Mai 4 takbeero ke saath Namaze Janazah padhta hoon,Moo mera kaba shareef ke, imam ke peeche yani taabe imam ke,jo Allah ki Namaz aur Mayyit keliye dua hai,(agar imam ho to padhata hoon kahe),

Allahu akber kah kar Haath kano tak utha kar Dono haath bandhle,aur apne sar ko Aasman ki taraf buland Na kare jaisa ke aksar log aysa karte hai,jo sahi Nahi hai,

Sana padhe :

سُبْحَانَكَ اَّللُهَّم َوِبحَمْدِكَ وَ تَبَاْرَكَ اسْمُكَ َوتَعَالَئ جَدُّكَ وَجَلَّ َثَناءٌكَ وَلَااِلَه غَيْرُكَ

SUBHANAKALLAHUMMA WA BIHAMDIKA WA TABARAKASMUKA WA TA’ALA JADDUKA WA JALLA SANAUKA WALA ILAHA GHAIRUKA.

Phir Allahu Akber kahe,magar is waqt Haath Na uthaye,aur Sar(head) ko Aasman ki taraf Buland na kare,phir Takbeer ke baad Durood e sharee padhe,

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَ عَلَى آلَ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَ عَلَى آلَ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ اللَّهُمَّ بَارِكَ عَلَى مُحَمَّدٍ وَ عَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إبْرَاهِيمَ وَ عَلَى آلِ إِبْرَاهَيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيد

Phir Teesri Baar bhi takbeer yani Allahu Akber kah kar Haath aur Chahrah Aasman ki taraf Na Uthaye,phir agar Mayyit Baligh Mard(male) ho ya Aurat(female) to ye dua padhe,

      اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِحَيِّنَا وَمَيِّتِنَا وَشَاهِدِنَا وَغَائِبِنَا وَصَغِيرِنَا وَكَبِيرِنَا وَذَكَرِنَا وَأُنْثَانَا اللَّهُمَّ مَنْ أَحْيَيْتَهُ مِنَّا فَأَحْيِهِ عَلَى الإِسْلاَمِ

     وَمَنْ تَوَفَّيْتَهُ مِنَّا فَتَوَفَّهُ عَلَى الإِيمَانِ                                    

aur agar Na Baligh Ladka ho to ye dua padhe : اللهم اجعله لنا فرطا واجعله لنا اجرا وذخرا واجعله لنا شافعا و مشفعا

Aur agar Na Baligh Ladki ho to ye Dua padhe :    اللهم اجعلها لنا فرطا واجعلها لنا اجرا وذخرا واجعلها لنا شافعة

ومشفعة    

phir chauthi(4) baar Allahu Akber kahe aur phir 2 salam phere jaisa ke Namaz me pherte hai,ab rahi baat haath kab chodna hai,to munasib ye hai,ke ek salam per ek haath chode aur doosre salam per doosra chode.

IS TARAH NAMAZ E JANAZH MUKAMMAL HOTI HAI

Masaayil : Namaz e Janazah Masjid ke Sahen me padhna sunnat hai,aur majboori me Masjid me bhi padhne ki ijazat hai,Baaz log Pahle Ghar me Namaze janazah padh rahe hai,phir Masjid me lehaza aysa karna sahi nahi hai,

*Agar Namaz se kuch hi der pahle wazoo toot jaye aur wazoo banane tak namaz hojati ho to Tayammum karne ki ijazat hai,

*Namaz e janazah padhane ka ziyadah mustahaqmBadsha,Hakim,phir Qazi,phir Nayib Qazi phir Masjid ka Imam hai,agar wali padha sakta ho aur wo qabil bhi hoto wali hi padhana ziyadah afzal hai,aur phir wali ki ijazat se Khandan ka koi bhi fard Namaz e janazah padha sakta hai,

*Namaze Janazah me Takbeero ke waqt Haath aur Sar ko Asman ki taraf Nahi uthana hai,jaisa ke aksar log utha te hain,

*Aurate Namaz e Janazah Nahi padhna hai,aur Na hi padhana hai,

*Maslake Hanafi me Ek baar hi Namaz e janazah padhana hai,

*Mayyit Ghar se nikalne ke baad Jaha Ghusl diya jata hai,waha Agar Batti aur Charagh(candle) etc..lagana Sahi Nahi hai,

*Agar Moqtadi ki Pahli ya doosri takbeer choot jaye to wo imam ke peeche hi shamil ho kar Takbeere mukammal karle,

*Namaz e janazah bhi unhi Cheezo se fasid hoti hai,jin cheezo se Namaz fasid hoti hai,magar Namaz e janazah me Qahqaha(zor se hansna) se Wazoo Nahi toot ta hai,aur Na hi Namaz toot ti hai,

iske alawah bohat se masaayil hai…

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com

             ?WRITTEN BY:-

    MUFTI RAHMATULLAH QADRI

 (FOUNDER FOR ARABIC SCHOOL ANWAARULISLAM LIL BANAT, TAYYAB NAGAR, MAHBUBNAGAR, TELANGANA)

You might also like