DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 234,

Hazrat Abdullah Bin Amr(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jis Musalman ka inteqal(died) Jumah ke din Ya Jumah ki Raat ko hota hai,to Allah usko Qabr ke Azab se Mahfooz kardeta hai.
(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No :1095),
Dars :Ye Jumah ke Din ki Barkat hai,Jo Allah ke Fazal aur Hamare Nabi e Akram
(sallallahualihwasallam) ke Sadqeh Hame mili hai,Ab Rabb jis din me Jo Barkat rakh deta hai,to usko Samajhne se Bando ki Aqle bhi Qasir(Na kaam) hojati hai,aur isi ka Naam to Fazal wa Karam hota hai,
■■ Ab Ye Fazilat usko hi milti hai,jiska inteqal Fitrati Taur per ho,Ya Achanak(Haadso se ex accidents etc..) ho,ye fazilat usko Kabhi Nahi milegi jo Jaan booj kar Khud ko Us Din Ya Raat Maar dale,Phansi(hanging) Yani Khudkushi karle..
Kyu ke ye log Allah ki ata ki huvi Zindagi ko Khud se hi khatam kardete hain,aur Allah ke Paas Mardood wa Na Muraad hojate hai,to sabko is Bure Amal se bachna Zaroori hai,
Allah hame apni Rahmat ke Saye me zindagi guzarne ki taufeeq ata kare..Ameen.

You might also like