NEW HOME ME ENTRY AUR BAKRA ZUBAH ?

Sawal :ASSALAMUALIKUM.MUFTI SAB.NAYE GHAR ME DAAQIL HONE K LIYE BAKRA ZUBAH KARNA ZARURI HI KYA.EK DOST NAYA GHAR QARIDA VO GOST LAKE DAWAT KARE.PAR LOG USE BAKRA ZUBAH KARNA VARNA MUSIBATE AATE BOLRE.ISKA MUDALLAL JAWAB DIJIYE.
(Abdul Raheem),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah…Ghar Naya ho ya Pura Iska ek hi Hukm hai,yani Usme Dakhil hone ke Aadab ek hi hai,Quran e Kareem me aya hai,ke ..Jab Tum apne Gharo me Dakhil ho to SALAM karo jab tum salam karoge to wo Allah ke paas Achi Dua banjayega aur Allah us Ghar me “Hamesha Rahne wali Barkat” ata karega,
(Al Quran,Surah:Noor,61),
Haan,Hadees me ye bhi aya hai,ke Sadqah Aane wali Museebato ko Door kardega
(Zujajat ul masabeeh,Vol/4),
to is Niyyat se Ghar me Dakhil hote waqt Quran ki Tilawat aur Durood e paak ki Mahfil ke saath Ghareebo aur Rishtedaaro ko Khana khilane ka ehtemam kare to ziyadah behter wa Mustahab hai,Zaroori Nahi hai,aur us Dawat me Bakra etc..Zubah karna bhi zaroori nahi hai,Gosht Khareed kar bhi dawat karsakte hai,aur Zubah karle to bhi koi baat nahi,ijazat hai,aur jitni Aur jaisi taqat hai,wysa karsakte hai,
Note:Bakrah zubah Nahi karne se Museebate etc..aane ka khayal karna GHALAT BAAT hai,ye khayalaat Ghairo ke hai,hame is se bachna chahiye..

Plz..Share it to All,For islamic service.

You might also like