DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 375,

Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : ALLAH ki Razamandi Walid ki Razamandi me hai,aur Allah ki Na Razgi Walid ki Na Razgi me hai.
(Vol/2,Hadees No : 2020),
Dars : Aani Jin Awalaad se Unke Walid Razi wa Khush Rahte hai,to Samjho Unse Allah bhi Razi hota hai,Phir Jab Allah jin se Razi hojata hai,to usko Dunya ke Har Kaam me Kamiyabi Naseeb hoti hai,aur wo Dunya me Izzat wa Barkat ke saye me zindagi guzarta hai,
Aur jin se unke Walid Na Raaz hote hain,to unse Allah bhi Na Raaz wa Na Khush hota hai,phir Jin se Allah Na Raaz hojata hai,to Ab Wo Dunya ke Har Kaam me Na Kaam hota hai,phir wo Zillat wa Muflisi me zindagi basar karta hai,aur khud ki Awkaad bhi usko zaleel karte rahte hai,aakhir me wo usi zillat me dunya se chala jata hai..!!!!
■■ Deen e Islam hi ek wahid Deen hai,jo Har Lamha Walidain ki tazeem wa khidmat karne ki taleem deta hai,aur Maa ,Baap ka darjah ko Badi Ahmiyyat bakshahai,
●●Walid Zahir me Sakht dikhte hain,Lekin Haqeeqat me Walid Androoni taur per Bade Narm dil hote hai,Bacho ko fever ajaye ya Zukam etc..ho to wo Walid ghar se ayse khamoosh Nikal jate hain,ke dekhne wal ye samjhta hai,ke unko koi fikar hi Nahi…?! Lekin Aysa Nahi hota hai,Balke Wo Walid Saara Din Bechain wa Beqarar hojate hain,aur apne Saare Dosto ke saamne Bacho ki sehat keliye dua ki darkhaast karte rahte hain,aur ghar laut te waqt Har Medical dukan ka chakkar laga kar medicines khareed kar late hai…taa ke Bacho ko Sehat Naseeb ho aur apni sehat ki fikar bhi Nahi karte..
Allahu Akbar Kabeera….
■■ Haan,Agar koi Walid Burayi ka hukm de to usko Nahi maan na chahiye agarche ke walid Na raaz hi kyu na hojaye,Lekin aysa karne se Allah Raazi hojata hai.
Allah hame walid ki Azmat wa ehteram karne wala banaye..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like