SAFAR KA MAHINA AUR YE RASME WA RIVAJ ?

Sawal : Assalamualikm,Mufti Sahab

Mera sawal hai k safar ul muzzafar k month me jo log baten krte hair masln: teeraha teji ya is month me balaiyen nazil hona .islam aur hadees ki roshni me ye month muslamano k liye kisa aur aur uski asal information kya hai kya karna chahiye aur kya please mujhe bataden ?
(Muslim Salonki),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,Safar ul Muzaffar ka mahina islami mahino(months) me se hai,aur is mahineh me kayi Rusoomat kiye jaate hai,jaise Terah Tezi,Museebato ko utarna..aur is mahineh me Nikah aur doosri Taqareeb(functions) ko nahi karna is wajah se ke ye mahinah manhoos hota hai,etc…Ye saare Tasawwuraat aur Khayalaat ” BATIL” hai,inka ISLAM se Koi Ta’alluq hi nahi hai,aur ye islami taleemat ke khilaf hai,kyu ke har cheez me Faidah aur Noqsan ki taqat dene wali zaat Allah hai,to ye mahinah bando ko kise Balaye wa museebato me daal sakta hai,ye to waqt hota hai,jo Allah ke Hukm se chalta hai,isi liyie Rasool e Akram (sallallahualihwasallam) ne farmaya ke Pahelne Wali Beemari,Parinde me Nafa wa Noqsan,aur Safar ke Mahine ke bare me batil Khayalaat ki koi Haqeeqat Nahi hai. (Sahi Bukhari,Vol/2,H,NO:5316),Lehaz is month ki 13 tarikh ki subah me ANDE(egg) aur Tail(oil) etc..Raat me sar(head) ke paas rakh kar subah me is niyyat se sadqah dena ke is tarah karne se is saal ki saari museebate wa mushkile door hoti hai,ke khayal rakh kar sadqah karna Sahi Nahi hai,aur iska Hukm bhi kahi Nahi aya hai, Haan,agar Sadqah dena hai,to Saaf Niyyat aur Ghareeb ki Madad,Allah ke Hukm ke Amal awari,aur Tameel e Sunnat se kare aur kabhi bhi karsakte hai,sadqeh ka koi waqt mutayyan Nahi hota hai,kabhi bhi sadqah karsakte hai,
aur is mahineh me to Musalmano ko kayi kamiyabiya mili hai,to isliy isko SAFAR KE SAATH MUZAFFAR yani “Kamiyab” ke hai,lehaza is mahineh ko Manhoos Nahi samajhna Chahiye,aur isme Kayi Sahaba e Kiram (raziyallahuanhum ajmayeen) ne Nikah bhi kiye hai.
(Hayat e Sahaba,Vol/3),
lehaz ,is Mahine me Nikah aur doosri Taqareeb bhi karsakte hai.

Plz..Share it to All,For more visit web site..
anwaarulislam,com.

You might also like