SALATU TASBEEH KA TAREEQAH

Ya Nafil Namaz hai,isko kabhi bhi padh sakte hai,Suraj Nikalte waqt,Suraj jab Beech Aasman me ho,Suraj Doobte waqt, in teen awqaat ke alawah kabhi bhi Padh sakte, Rozanah padhna behter hai,wo na hosake to Weekly,warna Monthly ye bhi na hosake to yearly agar ye bhi ho sake to zindagi me kam se kam 1 martabah to padhna hai.

** SALATU TASBEEH KI TASBEEH **

“SUBHANALLAHI WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR”

** 4 Rakaat Nafil ki Niyyat karke takbeer kah kar Rakaat bandh le,

** Sana ke baad :15 Martabah “SUBHANALLAHI WALHAMDULILLAH WALA ILAHA ILLALLAH WALLAHU AKBAR” padhe,is ko salatu tasbeeh ki tasbeeh kahte hai,

** Sureh Fateha aur Zammah Surah(jo surah yaad ho)ke baad,Ruku me jane se pahle 10 Martabah ye tasbeeh padhe,

** Ruku me Ruku ki tasbeeh ke baad :10 Martabah Tasbeeh padhe,

** Ruku se Uthne ke baad Rabbana Lakal Hamd kahkar :10 Martabah tasbeeh padhe,

** Sajdeh me sajdeh ki tasbeeh ke baad 10 Martabah Tasbeeh padhe,

** Pahle sajdeh se uthne ke baad( jalseh me) 10 Martabh ye tasbeeh padhe,

** Doosre Sajdeh me Sajdeh ki Tasbeeh ke baad 10 Martabah ye tasbeeh padhe,

is Tarah Har Rakat me 75 martabah Tasbeeh hoti hai,

Doosri Rakat me qirat se pahle 15 Martabah,aur Doosre aur Aakhiri Qadah me  Attahiyyat ke baad ye tasbeeh Padhna Nahi hai.

You might also like