DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER:SALAH, DAY :168,

Hazrat Ammar(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasoole Akram(sallallahualihiwasalla) ne farmaya :Jo Shaks Halat e Janabat(Jis per Ghusl karna wajib hojaye) usko Ghusl karne se pahle Khane Aur Peene ki Sojane(sleeping) ki bhi Ijazat hai,Lekin us se pahle Wazoo karle.
(Vol/1,H,No:616),
Dars:Aksar log ye samajhte hai,ke jis per Ghusl wajib hojaye to Wo khana bhi Nahi kha sakta hai ??
To is Hadees e paak me uski wazahat hogayi ki Halat e Janabat me bhi Wazoo bana kar khana kha sakte hai,
■□ Iska Matlab har giz ye Nahi ke Raat me Ghusl wajib huva to Din ke 1:00 pm pe Ghusl kar rahe ho,balke uska matlab ye hai,ke Raat me Sardi ziyadah hai,aur Garam paani Nahi hai,Ya Bhook ziyadah lagi hai,to aysi soorat me Ye kaam karne ke baad ghusl karna hai,warna Ghusl Pahle hi karle to ziyadah Behter Hai,
Kyu ke MAUT ka pata nahi kabhi bhi ajaye isliye Paak rahna hi ziyadah behter hai,take Allah ke huzoor Paaki ki Halat me Hazir ho.

Plz..Share it to All,For more islamic Service Visit our Web site.

You might also like