SHOP OPENING AWR RIBBON KATNE KA HUKM

Sawal :Assalamualaikum Mufti Sahab
Ek sawaal hai mera
Koi bhi Dukaan ya Office ki Opening me Ribbon kaatna ya kisiii buzurg Mashayeq ya kisi ahl Ullah se Ribbon katana Jayaz hai??
(kabir ali),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,aysa karna jayaz hai,kyu ke us se ek nek faal ye hai,ke ribbon se kaatna se murad uski aane wali saari museebate isitara kat kar door hojaye hai,to islam me kisi bhi cheez se nek iradah karne ki puri ijazat hai,magar haqeeqi moassir ALLAH KI ZAAT hai,haan behter soorat wa tareeqa ye hai,ke ribbon etc,,,kaatne ke bajaye kisi buzrug Wa AALIM saheb se quran padhwaye awr unke seedha pair dukaan ya office me rakah kar uska iftetah yani opening kare to ziyadah behtar is se kaam bhi hojayega awr sunnat bhi ada hojayegi,awr barkat bhi inshallah zaroor hogi.kyu jaha nek log hote hai,waha Allah ki Rahmath barasti hai.

(kanz ul Ummal)

 

 


plz,,read and share it.

You might also like