DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :SALAH(BARISH KI NAMAZ),DAY:155,

Hazrat Abbad bin Tameem(raziyallahuanhu) ne apne Chacha Se rivyat kiya,kaha:Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Barish keliye Dua karne keliye Sahaba e kiram ko lekar bahar nikle,aur 2 Rakaat Namaz Jahri Qirat se ada farmaye,apne chadar ko kandho per dale,aur apne Dono Haath Mubarak utha kar Barish keliye Dua farmaye.
(Vol/1,H,No:559),
Dars:Is Namaz ko Namaz e Istesqaa(Barish hone keliye padhi jane wali Namaz) isme Nafil ki Niyyat karna hai,aur ye Kisi Maidan ya eidgah me ada karna hai,aur iska koi Waqt muqarrar Nahi hai,makrooh awqaat ke alawah,kabhi bhi ada karsakte hai,lekin Din me padhna behter hai,
■■ Baaz rivayat me Haath ulthe karke Dua karna aya hai,to aysa bhi dua khas is namaz ke baad karsakte hai,aur seedhe haath rakh kar bhi karsakte hai,
☆☆ Beshak,Ye Namaz ke baad Zaroor Barish Barasti hai,aur to aur Kayi Ghair muslim Wazeer aaj bhi ye Namaz padhne keliye Ulama se Barish Na barasne ke dino me darkhast karte hai,ye Barkat hai Namaz ki ..!!

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like