DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : HAJJ, DAY :175,

Hazrat Khallad Bin Saayib Apne Walid se rivayat karte hai,Unhone kaha,Rasoole Akram (Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mere Paas Jibrayeel (Alihissalam) ne aaker kaha, Mai Mere Sahaba ko Hukm Doon ke Wo Hajj ke Dauran Tasbeeh(koi bhi Zikrullah) aur Talbiyah(Allahumma Labbaik..) Buland Awaz se Padhte rahe.
(Vol/1,H,No : 838),
Dars : Tasbeeh aur Talbiyah Ba Awaz e Buland padhne se Hajj karne wala Waswaso se mahfooz rahta hai,
■■ Ibadat ki Taraf Roghbat hoti hai,
■■ Roohani Kaifiyyat me Izafah hota hai,
■■ BE KAAR Baato se Najat Milti hai,
■■ Alla se Qurbat me Izafah hota hai,Aur Allah ki Khaas Rahmat us per Barasti hai,
Is ke Alawah kayi Barkate hai,Tasbeeh aur Talbiyah me, Bus hajj karne wale iska Ehtemam kare to ziyadah Behter hoga..
Insha Allah.

You might also like