DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : HAJJ , DAY :197,

Hazrat Ayisha siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,Ne Zam Zam ka Paani ghar lakar farmayi ke :Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) Zam Zam ka Paani Ghar laya karte.
(Vol/1,H,No :978),
Dars : Zam Zam ka Paani Be shumar Barkato ka Maskam hai,to usko apne Saath Lana ye “SUNNAT” hai,isko Barkat isliye Mili ke isi Nabi Hazrat Ismayeel(alihissalam) se Nisbat hai,to Malum Huva ke Jo Buzrugo se Nisbat Qayim karleta hai,to wo Bhi Barkat wala Hojata hai,
●● ZAM ZAM PEENE KE ADAB me se ye hai,ke Zam zam ka Paani Khade hokar Peena hai,aur Aam Paani ko Baith(Sitting) kar Peena hai,take Zam Zam aur Doosre Paaniyo me Farq hojaye,
■■ Peeni se pahle Apni Murad ki Dil me poori hone ki Niyyat kare to Insha Allah Murad Poori hojayegi.
Aur iske alawah kayi fazayil hai.

You might also like