DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER :JANAZAH, DAY :208,

Hazrat Abu Qatadah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jab Tum me se koi Apne Bhai ka Zimmahdar ho to uske Kafan ka “ACHA” Intezam karo.
(Vol/1,H,No :1011),
Dars : Zindagi me Apno ke saath kayi din guzar dete hai,to Un Tamam dino me se Her ek din ki ek yaad Basi hoti hai,lekin Un Tamam Dino me Ek Bohat hi Khaas Din Apne Kisi Rishtedar ke “MAUT KA DIN” hota hai,
Us din Marne wale ke Ghar wale Bhi Apne Ko Tanha aur Be Bas wa Majboor Samajhne Lagte hain,to Jaisa ke Hadees me aya hai,ke Apne Bhai ke Kafan ka “ACHA”intezam ka matlab hi ye hai ke “MAYYIT KE GHARWALO”ka Sahara Bane,Unko Himmat dilaye,Wo Bhooke hote hai,unhe Khane ka Entezam kare, aur Kafan wa Dafan me Saath de aur Mayyit ke Haq me Maghfirat ki Dua kare..etc.
■■ACHA KAFAN…ka matlab Acha Kapda Nahi kyu ke Kafan to Kafan hi hota hai,ACHA KAFAN ka matlab Ache Akhlaq ka Muzharah karna hai,,aur Waqt per Kafan wa Dafan ka ehtemam hai,to
Aye Allah jo Dunya me Yateem hogaye hai,Unke Walidain ki Maghfirat farma aur unke Gharwalo ki Madad farma,aur Jinke Walidain Zindah hai,unki Umer me Darazi ata farma…aur unke Bacho ko khidmat ki taufeeq ata farma..ameen.

You might also like