DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER :JANAZAH, DAY :207,

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jab Tum Libas Pahno to Safaid Rang(white Colour) ka Pahno,Aur Jab Apne Mayyit ko Kafan do to Tab bhi Safaid Rang(White Colour) Ke Kapde me Kafan do.
(Vol/1,H,No :1010),
Dars : To Malum huva ke White Colour ke Kapde Istemal karna aur Marne ke Baad Kafan me bhi wahi rang Ka istemal Sunnat hai,jab is Niyyat se Kapde Pahnenge to Badan bhi Dhak jayega aur Sunnat ka sawab bhi Milega,
●● White Colour ke Alawah Doosre rang ke kapde use karna bhi Sunnat se sabit hai,Yani Doosre rang ke kapde bhi Pahen sakte hai,lekin ziyadah White Colour ka istemal Hadees se sabit hai,
■■ Black Colour Ka Paijamah bhi Pahen Sakte hai,koi Haraj Nahi hai,
☆☆ Kafan ka White Colour ? Kafan ke kapde me White Colour ki Hikmat ye hai,ke BANDAH APNI ZINDAGI SHAFFAF WA SAAF ANDAZ(Haram Cheezo,Bughz,Inad,Dushmani,Hasad..etc..) Se Guzare aur Jab Mar bhi Jaye to us Rang se Shaffafiyat bhi Zahir hojaye,To Jo Nek hai,to Mubarak ho,aur Jo Na Ho to Allah Nek Kaam ki Taufeeq de..Ameen.

You might also like