DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : JANAZAH, DAY :213,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Janazah me Jaldi Karo,agar tum Mayyit ke Saath Bhalayi Ka iradah rakhte ho to Tadfeen me Takheer Na karo,aur Agar Noqsan ka Iradah rakhte ho to Janazah me Takheer karo.!!!
(Vol/1,H,No :1031),
Dars : Yani Agar janazah me ujlat wa Jaldi kare to Mayyit keliye hi behter hai,
■■ Kisi ke aane ke intezar me ek ek Haftah(one week) janazeh ko roke rakhna sahi nahi hai,us se Mayyit ko bhi takleef hoti hai,
Haan,agar koi qareebi Rishtedar ho jiske aane me 1 din ya 2 din hota ho to Mayyit ko Mahfooz maqam jaisake aaj kal Electric Devices me rakhte hai,rakh kar intezar ke baad tadfeen kare to ijazat hai,magar ziyadah din takheer nahi karni chahiye..

You might also like