DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY :212

Hazrat Sawban(raziyalkahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hum Rasool e Akram

(sallalllahualihuwasallam) ke saath Janazeh me Shareek the,Qabrastan ko Ja rahe the,to Baaz log Sawariyo per Sawar the to Aap (sallallahualibiwasallam) ne farmaya :Aye Sawaro,Tum Haya karo Ke Farishte Paidal chal rahe hain,aur Tun Sawari per ho.
(Vol/1,H,No :1028)
Dars :Jab kisi Momin ka inteqal hota hai,to Farishteh bhi Uske Namaz e Janazah me Shareek jokar Uski Tadfeen hone tak Hazir rahte hain,ye hoti hai,Momin ki Shan…
Aur Janazah ke Saath qabrastan tak Paidal Chalna Sunnat hai,
■■ Agar Qabrastan kaafi Door ho to Us soorat me Sawar hokar ja sakte hai,Haan agar door Na ho magar koi Saman etc…lejana hota ho to tab bhi baaz log Saweri ka istemal karsakte hai,
Gharz ke isme Mayyit ke Ehteram ki Taleem ka hukm hai,To pata chala ke Islam Insaan ki zindagi aur Maut ke Baad bhi Tazeem ki Taleem deta hai.

You might also like