WAZU KA MASNOON TARIQAH

Pahle Kisi Jug ya Lote me Paani lekar kisi Wunche maqam per Qiblah ki taraf Chahrah(Face) karke Baith jaye Ya Water Pump ko bhi use karsakte hai,phir

                        “BISMILLAHIL AZEEM WAL HAMDULILLAHI ALA DEENIL ISLAM”  

بسم اللہ العظیم والحمد للہ علی دین الاسلام                              

*Dono Haaath Kalayi Tak dhole ,aur Ungliyo(fingers) ka Khilal kare,

*Kulliy is tarah kare ke paani Halaq tak pahonch jaye,aur Rozeh ki Halat me Halaq tak na pahonchaye,

*Miswak karle,agar Miswak Na Hoto Shahadat Ki Ungli se hi Daanto ko Saaf kare,

*Naak Me Paani dal kar Naak(Nose) saaf kare,

*Dono Haatho se Paani Lekar Oper(up) se Yani Peshani ke Baalo (hairs) ke ugne ki jagah se lekar Neeche(down) Toodhi ke Neeche tak,aur  Ek Kaan(ear) ki Loo(kaan ke paas jo hissah utha huva hota hai) se doosre Kaan ki Loo tak is tarah dhove ke koi jagah ek baal ki barabar bhi Khushk Na rahne paye,aur agar Daadhi(Beard) ho to khilal kare,

*3 Baar Dono Haatho ko Kohniyo tak dhoye,Pahle Seedha Haath(Right Hand) phir Baya Haath(Left Hand) dhoye,

*2 Haatho ko Kalayi tak Tar(wet) karke,Sar(Head), Kaan(ear)aur Gardan(Neck) ka Masah kare,yaad rahe ke Maslake Hanafi ke etebar se Chautahi Sar(1/4) ka Masah karna Farz hai.

Masah Ka Tariqah : Jab Dono Haath Tar karle to Anghote(Thumb) aur Shahadat ki Ungli ko chod kar Dono haatho ki 3,3 ungliyo yani 6 ungliyo ko sar(head) ke saamne ke Hisseh se Peeche Guddi tak lejaye,phir Peeche se Saamne ki taraf Baalo ke ugne ki jagah tak,Phir Kaan ka Masah is tarah kare ke Shahadat ki Ungli(Kalimah ki Ungli) ko Kaan ke Androoni Hisseh me Pher de,aur Anghote(Thumb) ko kaan ke Baher yani Kaan ke Peeche ke hisseh per Pher de,aur Haatho ke ungliyo ke Peeche ke Hisseh se Gardan(Neck) Ka Masah karle,

*3 Baar 2 Pairo(foot) ko Takhno samet is tarah dhoye ke Baye Haath(left Hand) se 2 pairo ko achi tarah mal kar dhoye,aur Har martabah Pairo ki Ungliyo ka Khilal kare.

Note : Har Dafa Wazoo ke Aaza(Parts) ko  1 baar dhona Farz Hai,aur 3 Baar Dhona Sunnat hai,AB wazoo Mukammal hogaya hai,phir Asman ki Taraf chahrah karke..

              أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَـهَ إِلاّ اللهُ وَحْدَهُ لا شَريـكَ لَـهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمّـداً عَبْـدُهُ وَرَسـولُـه

“ASH HADU AL LA ILAHA ILLALLAHU WAH DAHU LA SHAREEKA LAHU WA ASH HADU ANNA MOHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU”

Wazu ke Baad ki Dua : 

  اللّهُـمَّ اجْعَلنـي مِنَ التَّـوّابينَ وَاجْعَـلْني مِنَ المتَطَهّـرين

 

“ALLAHUMMAJ ALNI MINAT TAWWABEENA WAJ ALNI MINAL MUTATAHHIREEN “

Wazu ke Darmiyan ye Dua Padhe :

 

    اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي ذَنْبِي وَوَسِّعْ لِي فِي دَارِي وَبَارِكْ لِي فِي رِزْقِی 

 

” ALLAHUMMAGH FIRLI ZAMBI WA WASSILI FID DARI WA BARIKLI FI RIZQI “

Note : Iske Alawah Wazu ke darmiyan Masnoon Duae Hain,to apni apni sahoolat ke lehaz padhle to Uski Rahmate wa Barkate Naseeb hongi,,insha Allah..

Dua ka Talabgar..

Mufti Rahmatullah Qadri.

Faunder : Tanzeeme Anwaar ul Islam,INDIA.

                  

You might also like