DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : JANAZAH, DAY : 227,

Hazrat Abu Aswad Diyali(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Ke Jab mai Madeenah Munawwarah Aya to Hazrat Umer Bin Khattab(raziyallahuanhu) ke Paas Baitha Huva tha,To usi waqt Ek Janazah Guzra,Log us Mayyit ke Bare me Tareef kar rahe the,to Hazrat Umer (raziyallahuanhu) ne kaha”WAJIB HOGAYI”,to maine kaha kiya wajib hogayi ? to aapne Kaha,Ke

Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jab kisi Musalman ka Inteqal hojata hai,aur uske “BEHTER” honi ki Sirf 3 Log hi Gawahi de to uskeliye *JANNAT* Wajib hojati hai,
To hum ne Kaha agar 2 Aadmi ? to aapne farmaya :Haan,Agar 2 Aadmi bhi Gawahi de to Jannat Wajib Hojati hai,phir hum ne 1 Aadmi ke Bare me Sawal Nahi kiye.
(Vol/1,H,No :1079),
Dars : Dosto,Ye Rab ki Rahmat Nahi hai,to Phir Aur Kiya hai…!!!!
Ye Allah Ki Rahmat ke Bahane hai,Ke Rahman wa Kareem Allah Hamesha Apne Bando per Raham wa Karam ka iradah rakhta hai,to Bus ye 3 ya 2 Musalmano ki Gawahi to ek Bahana hai,ke us ke zariyeh Allah Bandeh ko Maghfirat wa Jannat Ata karta hai,
■■ Dosto,Jab Tak Dunya me rahte hain To Kisi na kisi wajah se Ek Doosre ke Bare me kuch ….to Dil me Na Munasib Baat agar rahe(jab ke Nahi rahna chahiye) to Kam se usko Wo Shaks ke Marne ke Baad To aap Aur Hum apne Dil se Nikal dena chahiye aur uskeliye Maghfirat ki Dua aur Uske Ache Hone ki gawahi Dena hai,kyu ke Hamari 1 Gawahi uskeliye Jahannam se Najat Ka Sabab banti hai….
Allah Sabko Maaf karne Wala Dil ata kare..Ameen.

You might also like