DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NIKAH , DAY : 252,

 

Hazrat Abu Moosa Ashary,apne Walid
(raziyallahuanhuma) se rivayat karte hain,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya: 3 Qisam ke Logo ko Allah Ek Kaam per 2 Ajar ata karta hai,
1) Wo Ghulam jo Allah ka Haq ada karta ho,Aur Apne Malik Ka bhi Haq ada karta ho to ayse bandeh ko Allah 2 Ajar ata karta hai,
2) Wo Shaks Jo Apni La ilm Baandhi(kaneez) ko Adab sikhaye aur Usko achi Taleem bhi de phir Usko Azad karke Us se Allah ki Raza keliye Nikah bhi karle to Ayse Bandeh ko Allah 2 Ajar ata karta hai,
3) Wo Shaks Jo Pahle ki Aasmani kitab per eiman rakhta ho,phir wo Baad me Aane wali Aasmani Kitab per bhi eiman rakhta ho to ayse Bandeh ko bhi Allah 2 Ajar ata karta hain.
(Vol/1,H,No :1141),
Dars :
■■ Pahla Bandah : Jo Allah ki ibadat bhi karta ho aur Apne Malik ka kaam bhi karta ho,ab is zamaneh me Ghulam to Nahi hai,lehaza uski tashreeh ye hai,ke Is daur Me Jo Log Apne Kaam,(Job,Buiseness,Study,etc…) me eimandari se masroof rah kar Waqt per Allah ki Ibadat(Namaz,Rozeh etc..) ada karte ho to ayse logo ko bhi Allah 2 ajar ata karta hai,
●● Bandhi ki Tarbiyat karne Wala : Is Daur me Bandhi to Nahi hai,lehaza Jo Kisi Ghareeb ko ya kisi bhi ladki etc..ko Achi Taleem de phir us se Nikah kare to Ayse Bandeh ko Allah 2 Ajar ata karta hai,yaad rahe ke isiliye Murshid aur Ustad ye dono apni Mureedah aur Shagirdah keliye Ghair Mahram hote hai,unka ek doosre se Pardah karna Wajib hai,unka apas me Nikah Sharee etebar se Jayiz hai,
lekin Aajkal Baaz khawateen apne Murshid se pardah Nahi karti hain,aur Baaz Murshid bhi unhe Nahi rokte hain, jiski Islam me kisi bhi Soorat me Ijazat Nahi hai,agar wo apne Murshid ko Walid ki Nigah se bhi kyu na dekhe Be pardagi ki ijazat Nahi hai,aap khud kisi Muttaqi wa parhezgar Murahid ko dekhiye jo Mureedah ko Baghair HIJAB ke saamne Aane hi Nahi dete hain,
Kyu ke Khud Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) jab khawateen se Bait lete to Kapdah haath me rakh kar liya karte Jab ke Aapkeliye to ijazat thi,Phir bhi pardeh ka ehtemam kiya karte taake aane wali Ummat ko taleem wa tarbiyat mil sake…..
■■ 2 Kitabo per Eiman : Yani kisi bhi Aasmani kitab ka inkar Nahi karna hai,agarcheh ke wo apne Haatho se Badal diye hai,lehaza hame Maan na to Quran ko hi hai,magar Doosri Aasmani kitabo ko Bura bhi Nahi kahna hai…

Plz..Share it to All,For more Visit our web site :
anwaarulislam,com.

You might also like