DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NIKAH , DAY : 264,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Kamil Momin Wo hai,Jiske Akhlaaq Haseen ho,aur Tum me se Behtreen Insaan wo Hai,Jo Apne Gharwalo ke saath Ache Akhlaaq se Pesh Aane wala ho.
(Vol/1,H,No :1195),
Dars : Is Hadees e paak me Kamil eiman ki sifat ne se Haseen Akhlaaq ko bataya gaya hai,Aur Behtreen insaan ke sifaat Gharwalo ke saath Ache Akhlaaq…
To malum huva Ghar ke Baher Behter Ban jana kamal Nahi hai,Balke Pahle Ghar me Behter ban na hai,Phir Baher,to Jo Ghar me Behter hojata hai,to wo zaroor Ghar ke Baher bhi Behter ho hi jata hai,
Insha Allah,
■■ Wazeh Rahe ke Ghar me Maa,Baap Jitne Ache Akhlaaq ka Muzaharah karenge to Wahi Akhlaaq bhi Aulaad(Bacche) apnate jayenge,aur Walidain ki har baat wa kaam ka Asar Aulaad per padta hai,Iehaza Pahle Ghar me Sahi Mahol banaye phir Baad me School aur Madraso pe tawaqqu rakhe to ziyadah behter hoga…
Note : ☆☆ Behter Mahol se hi Insaan BEHTAREEN hota hai,Warna Nahi….!!!

Plz..Share it to All,For more islamic services Visit our web site..: anwaarulislam,com.

You might also like