DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : NIKAH , DAY : 263,

 

Hazrat Umme Salamah(raziyallahuanha) se rivayat hai,Kaha,Rasool e Akram
(Sallallahuakihwasallam) ne farmaya : Jab kisi Aurat ka Inteqal hojaye,Aur us se Uska Shohar Raazi rahe to Wo Aurat Jannat me Dakhil hojati hai.
(Vol/1,H,No :1194),
Dars :Yani Shohar ki Razamandi me Allah ki Raza mandi hai,aur Shohar Ki Na Raazgi me Allah ki Na Raazgi hai,
Ab is fazeelat ko hasil karne keliye Shohar ko bhi chahiye ke wo Apne darjeh ko jane,aur apni Zimmahdariyo ko Ache Andaz me nibhaye,
■■ Bivi ko Shohar ke Maqam ka har haal me lehaz rakhna hai,Kyu ke Shohar ki Nisbat ka ta’alluq Dunya me aur Aakhirat me bhi Baaqi rahta hai,
kabhi kabhi Halaat mukhtalif hojate hain,to us waqt dono ko sambhal kar aur ek doosre ke mashoreh se chalna chahiye to insha Allah wo Dono Miya Bivi 2 jahan me kamiyabi hasil karlenge…Insha Allah…
Allah Miya Bivi ko Apne Huqooq Samjhne ki taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,For more services visit our web site..: anwaarulislam,com.

You might also like